Hawa Thami Thi Zaroor Lekin, Wo Shaam Jesy Sisak Rahi Thi K Zard Pat'ton Ko Aandhiyon Ny Ajeeb Qissa Suna Dia Tha K Jis Ko...
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin,
Wo Shaam Jesy Sisak Rahi Thi
K Zard Pat'ton Ko Aandhiyon Ny
Ajeeb Qissa Suna Dia Tha
K Jis Ko Sun Kar Tamam Pat'ty
Sisak Rahy Thy
Bilak Rahy Thy!
Jaanay Kis Saanihey K Gham Me
Shajar Jaron Se Ukhar Chuke Thy!
Bohat Talasha Tha Hum Ny Tumko
Hr aik rasta,
Hr aik waadi,
Hr aik parbat,
Hr aik ghaati,
kahin se teri khabar na ai
Tou ye keh k hum ne dil ko tala
Hawa thamy gi to dekh lain gy
Hum us k raston ko dhoond lain gy
Magar hmari ye khush khyali
Jo hum ko barbaad kr gai thi
Hawa thami thi zaroor lekin
Bari hi mud'dat guzar chuki thi!
Hamary baalon k jangalon me
Sufaid chaandi utar chuki thi!
Falak pe taaray nhi rahy thy
Gulaab pyary nhi rahy thy
Wo jin se basti thi dil ki basti
Wo log saary nhi rahy thy
ye almiya sb se balatar tha
K hum tumhary nhi rahy thy
K tum hamary nhi rahy thy
Hawa thami thi zaroor lekin
Bari hi mud'dat guzar chuki thi...
This Poetry Was Published by: Talha Abir