Roman Urdu Urdu Poet Woh Bhi Ik Sham February Ki Thi Jab Teri Khuwab Numa Aankhon Mein Meri Chahat Ki Dhanak Utri Thi Jab Yeh I...
Woh Bhi Ik Sham February Ki Thi
Jab Teri Khuwab Numa Aankhon Mein
Meri Chahat Ki Dhanak Utri Thi
Jab Yeh Idraak Huwa Tha Mujh Ko
Merey Jiwan Mein Ujaalon K Liye
Tera Hona Bohat Zaroori Hai
Jab Yeh Idraak Huwa Tha Mujh Ko
Meri Chahat K Har Ik Mousam Mein
Akas Tera Dikhaai Deta Hai
Meri Khaamoshiyon Mein Jab Jab Bhi
Terey Lehjay K Phool Khiltey They
Deir Tak Khushboo'on Mein Rehta Tha
Juzz Terey Paas Kuch Nahi Merey
Teri Chahat Mera Asaasa Hai
Woh Bhi Ik Sham February Ki Thi
Jab Yeh Idraak Hua Tha Mujh Ko
Terey Lehjey Mein Khanak Dekhi Thi
Teri Aankhon Mein Chamak Dekhi Thi
Tu Ney Iqraar Kiya Tha Mujh Sey
Terey Jivan Mein Ujaalon K Liye
Mera Hona Bohat Zaroori Hai
Yeh Bhi Ik Sham February Ki Hai
Jiss Mein Yaadon Ki Dhund Mein Lipta Hua
Teri Har Baat Sochata Hoon Main
Terey Din Raat Sochta Hoon Main
Juzz Teri Baat Paas Kuch Bhi Nahi
Koi Umeed, Aas Kuch Bhi Nahi
Dil Yeh Bohjal Hai Shiddat e Gham Sey
Aaj Rona Bohat Zaroori Hai
Merey Jiwan Mein Ujaalon K Liye
Tera Hona Bohat Zaroori Hai