Hum Ne Soch Rakha Hai Chaahe Dil Ki Har Khuwaahish Zindagi Ki Aankhon Se Ashk Ban K Beh Jaaye Ghar Ki Saari Deewaarein ...
Hum Ne Soch Rakha Hai
Chaahe Dil Ki Har Khuwaahish
Zindagi Ki Aankhon Se
Ashk Ban K Beh Jaaye
Ghar Ki Saari Deewaarein
Chhat Samet Girr Jaayen
Aur Be-Muqaddar Hum
Es Badan Malbey Mein
Khud Hi Keun Na Dab Jaayen
Tum Se Kuch Nahi Kehna
Kaisi Neend Thi Apni
Kaise Khuwaab The Apne
Aur Ab Gulaabon Par
Neend Waali Aankhon Par
Naram Khu Se Khuwaabon Par
Keun Azaab Tootey Hain
Tum Se Kuch Nahi Kehna
Ghir Gaye Hain Raaton Mein
Be-Libaas Baaton Mein
Es Tarah Ki Raaton Mein
Kab Chiraag Jaltey Hain
Kab Azaab Taltey Hain
Ab To En Azaabon Se
Bachh K Bhi Nikalne Ka
Rasta Nahi Janaa !
Jiss Tarah Tum Ko Bhi
Lazwaal Lamhon Se
Wasta Nahi Janaa !
Hum Ne Soch Rakha Hai
Tum Se Kuch Nahi Kehna...!!