Roman Urdu Urdu Poet Udaas Shaamein, Ujaar Rastey, Kabhi Bulaaein To Lout Aana Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagon K Aazab Aayen To Lo...
Udaas Shaamein, Ujaar Rastey, Kabhi Bulaaein To Lout Aana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagon K Aazab Aayen To Lout Aana
Abhi Nayi Wadiyan, Naye Manzaron Mein Reh Lo Magar Meri Jaan !
Yeh Saarey Ik Aik Kar K Jab Tum Ko Chhor Jaayen To Lout Aana
Jo Shaam Dhaltey Hi Apni Apni Panaah Gaahon Ko Loutay Hain
Agar Woh Panchhi Kabhi Koi Dastaan Sunaaein To Lout Aana
Naye Zamaanon Ka Karb Ourhey Zaaeif Lamhey Nidhaal Yaadein
Tumhaarey Khuaabon K Band Kamron Mein lout Aayen To Lout Aana
Agar Andheron Mein Chhor Kar Tum Kar Bhool Jaayen Tumhaarey Saathi
Aur Apni Khaatir Hi Apne Apne Diye Jalaayen To Lout Aana
Mein Roz Younhin Hawa Pay Likh Likh K Uss Ki Jaanib Yeh Bhejta Hoon
K Achhey Mausam Agar Paharon Pay Muskarayeen To Lout Aana
Meri Wo Baatein Tu Jin Par Be-Ikhteyaar Hansta Tha Khilkhilaa Kar
Bichharney Waaley Meri Woh Baatein Kabhi Rulaayen To Lout Aana