Roman Urdu Urdu Audio Video Tumhein Pata Hai K Kitna Chaha Main Ne Tumhain Kitni Mohabbat Ki Tum Se Ki...
Tumhein Pata Hai
K Kitna Chaha Main Ne Tumhain
Kitni Mohabbat Ki Tum Se
Kis Qadar Yaad Kiya
Kis Qadar Roya
Mera Wo Tootna Bikharna
Phir Khud Ko Sametna
Aur Phir Toot Jaana
Wo Sab Kuch Kis K Liye Tha
Kya Wo Sab Kuch Mere Apny Liye Tha?
Uss Mein Mera Kya Faaida Tha
Wo To Sab Tere Liye Tha
Wo Teri Yaad Thi
Teri Mohabbat Thi
Teri Judaai Thi
Teri Furqat Thi
Par Tujhe To Khabar Bhi Nahi
Tujhe To Pta Bhi Nahi
K Main Kis Haal Se
Kis Kaifiyat Se Guzra Hoon
Tujhe
Tujhe Un Rat-Jagon Ki Kya Khabar
Jo Main Ne Jaag Kar
Jo Main Ne Roty Huye
Jo Teri Yaad Mein
Awaargi Mein Guzaare
Tujhe Kya Pata
Aaj Tu Mili Hai
To Sirf
Tere Honton Peh
Gily Hi Gily Hain
Tu Jahan Rahi
Tu Jaise Rahi
Tu Jiss K Saath Rahi
Tu To Khush Thi
Tujhe Mujhe Se Mohabbat Hi Kahan Thi
Lekin Tu Yeh Zaroor Jaanti Thi
K Tujhe Koi Chaahne Waala
Koi Mohabbat Karne Waala
Koi Toot K Tujh Peh Marne Waala
Duniya K Kisi Koney Mein Betha
Tujhe Yaad Kar Raha Ho Ga
Jo Ab Bhi Teri Khaatir
Sirf Aur Sirf
Wahan Par Betha Hai
Lekin Keun Bhool Jaate Hain Log
Keun Nahi Yaad Karte
Hum Jinhein Itna Yaad Karte Hain
Jitni Un Ki Parwaa Karte Hain
Wo Humain Utna Hi Ignore Karte Hain
Utna Hi Humain Mustarad Karte Hain
Keun Karte Hain Aise
Kya Milta Hai
Zakhmon Peh Namak Chhirak K
Kya Milta Hai
Theek Hai
Tum Tasalli Nahi De Sakhte
Tum Zakamon Par Marham Nahi Rakh Sakte
Tum Tasalli K Kuch Bol Nahi Bol Sakte
To Eska Matlab Yeh To Nahi
K Tum Tease Karo
Tum Mazaq Uraao
Un Jazbaat Ka
Un Feelings Ka
Un Sab Cheezon Ka
Jo Mere Dil Mein
Tumhaare Liye Hain
Na Karo Iqraar
Na Mano Mari Baat
Lekin Es Tarah
Radd Bhi To Na Karo
Tumhain Pata Hain
Duniya Mein Sab Se Bara Dard
Sab Se Bara Rog
Kya Hota Hai
Jab Ap Thukra Diye Jaate Ho
Jab Ap Ko Radd Kar Diya Jaata Hai
Jab Ap Ko Mustarad Kar Diya Jaata Hai
Jab Ap Apni Nighaon Mein Gir Jaate Ho
Ap Ki Apni Koi Oqaat Nahi Rehti Dusron K Saamne
Ap K Saamne Manzil Hoti Hai
Lekin Manzil Khud Ap Ko
Rad Kar Deti Hai
Thukraaye Jaane Ka Rog
Thukraaye Jaane Ka Dard
Sirf Wohi Log Jaante Hain
Jo Es Karb Se
Jo Es Dard Se
Guzre Hote Haib
Tum Kya Jaano
Be-Wafa Logo !
Nahi
Tum To Be-Wafa Bhi Nahi
Tum Ne Wafa Ka Iqraar Hi Kab Kiya Tha
Tum Ne Wafa Ka Wada Hi Kab Kiya Tha
Wo To Main Hi Tha
Tumhaari Muskurahaton Ko
Tumhaare Hans K Dekh Lene Ko
Kuch Aur Samjha Tha
Shaayed Meri Galti Thi
Bhugat Raha Hoon Na
To Bhugatne Do
K Kitna Chaha Main Ne Tumhain
Kitni Mohabbat Ki Tum Se
Kis Qadar Yaad Kiya
Kis Qadar Roya
Mera Wo Tootna Bikharna
Phir Khud Ko Sametna
Aur Phir Toot Jaana
Wo Sab Kuch Kis K Liye Tha
Kya Wo Sab Kuch Mere Apny Liye Tha?
Uss Mein Mera Kya Faaida Tha
Wo To Sab Tere Liye Tha
Wo Teri Yaad Thi
Teri Mohabbat Thi
Teri Judaai Thi
Teri Furqat Thi
Par Tujhe To Khabar Bhi Nahi
Tujhe To Pta Bhi Nahi
K Main Kis Haal Se
Kis Kaifiyat Se Guzra Hoon
Tujhe
Tujhe Un Rat-Jagon Ki Kya Khabar
Jo Main Ne Jaag Kar
Jo Main Ne Roty Huye
Jo Teri Yaad Mein
Awaargi Mein Guzaare
Tujhe Kya Pata
Aaj Tu Mili Hai
To Sirf
Tere Honton Peh
Gily Hi Gily Hain
Tu Jahan Rahi
Tu Jaise Rahi
Tu Jiss K Saath Rahi
Tu To Khush Thi
Tujhe Mujhe Se Mohabbat Hi Kahan Thi
Lekin Tu Yeh Zaroor Jaanti Thi
K Tujhe Koi Chaahne Waala
Koi Mohabbat Karne Waala
Koi Toot K Tujh Peh Marne Waala
Duniya K Kisi Koney Mein Betha
Tujhe Yaad Kar Raha Ho Ga
Jo Ab Bhi Teri Khaatir
Sirf Aur Sirf
Wahan Par Betha Hai
Lekin Keun Bhool Jaate Hain Log
Keun Nahi Yaad Karte
Hum Jinhein Itna Yaad Karte Hain
Jitni Un Ki Parwaa Karte Hain
Wo Humain Utna Hi Ignore Karte Hain
Utna Hi Humain Mustarad Karte Hain
Keun Karte Hain Aise
Kya Milta Hai
Zakhmon Peh Namak Chhirak K
Kya Milta Hai
Theek Hai
Tum Tasalli Nahi De Sakhte
Tum Zakamon Par Marham Nahi Rakh Sakte
Tum Tasalli K Kuch Bol Nahi Bol Sakte
To Eska Matlab Yeh To Nahi
K Tum Tease Karo
Tum Mazaq Uraao
Un Jazbaat Ka
Un Feelings Ka
Un Sab Cheezon Ka
Jo Mere Dil Mein
Tumhaare Liye Hain
Na Karo Iqraar
Na Mano Mari Baat
Lekin Es Tarah
Radd Bhi To Na Karo
Tumhain Pata Hain
Duniya Mein Sab Se Bara Dard
Sab Se Bara Rog
Kya Hota Hai
Jab Ap Thukra Diye Jaate Ho
Jab Ap Ko Radd Kar Diya Jaata Hai
Jab Ap Ko Mustarad Kar Diya Jaata Hai
Jab Ap Apni Nighaon Mein Gir Jaate Ho
Ap Ki Apni Koi Oqaat Nahi Rehti Dusron K Saamne
Ap K Saamne Manzil Hoti Hai
Lekin Manzil Khud Ap Ko
Rad Kar Deti Hai
Thukraaye Jaane Ka Rog
Thukraaye Jaane Ka Dard
Sirf Wohi Log Jaante Hain
Jo Es Karb Se
Jo Es Dard Se
Guzre Hote Haib
Tum Kya Jaano
Be-Wafa Logo !
Nahi
Tum To Be-Wafa Bhi Nahi
Tum Ne Wafa Ka Iqraar Hi Kab Kiya Tha
Tum Ne Wafa Ka Wada Hi Kab Kiya Tha
Wo To Main Hi Tha
Tumhaari Muskurahaton Ko
Tumhaare Hans K Dekh Lene Ko
Kuch Aur Samjha Tha
Shaayed Meri Galti Thi
Bhugat Raha Hoon Na
To Bhugatne Do